Wednesday, December 16, 2015

GHUNGHAT





































"..Aaj bhi mere desh mein vo, ghunghat mein ghutt ke roti hai,
Is haiwaano ki duniya mein, bs hoti hai sab khoti hai,

Is desh mein arbondaar bade, is ghungat ke khareedar bade,
Naa udd sakti pankho se vo, uspe ghungat ke bhaar bade..

Jo pyaar hi paati thi bitiyaa, Ghunghat me saare pyaar mare, 
Jo kisi jagah ki raani thi,  Ghunghat me aake daas bane,

Naa dekh saki sapne thi jo, un sapno ke aakaar bade,
ghunghat me ghun ke reh baithi, yahan riston ke to daar bade,

Jo ek paheli hoti thi, sabki saheli hoti thi,
khil khil ke jo jab hasti thi, aur badi sharaarat karti thi,
Use ghunghat waale baandh gaye, ik pal me "par" vo kaat gaye,

Gairon ki kyaa baat kahon, Ghunghat apnon ne daale hai,
Khaamosh kiya tha ghunghat me, ye haath unhi ne thaame hai,

Is maryaadit se desh me to vo, Ghunghat me ghutt ke roti hai,
Is haiwaano ki duniya mein, bs hoti hai sab khoti hai,-2.."

Kim_Punjabi P.J. 









-Kim_Punjabi P.J.