Tuesday, October 18, 2011

.. "Mujhe chalne ki aadat nhi thi , Maa tune sikha diya"

.. Mujhe chalne ki aadat nhi thi , Maa tune sikha diya,
sabhi musibaton me hasna Silu, mujhko bta diya,
sab log kehte hai aas paas mere, bada ho gya hon,
lekin tune to aajbhi mujhe, daant-ke bacha bna diya,

akela hota hon, to teri yaad jo aati hai,
ik tasveer hi hai teri, meri sukhi in aankho me,
jab band karta hon to, tu fir daant lagati hai,
"pagla hai kya re, kyn aankh bahata hai,
me ho paas tere, to tu kyun ghabrata hai,"
ye sun ke meri maa, aankh fir bhar aati hai,
tu aankh dikhati hai, me fir muskata hon,
tu aankh dikhati hai, me fir muskata hon,

Maa ik waqt hi khata hon, dinbhar me mein to ab,
un tere haaton ki ,ab yaad jo aati hai,
me fir ruk jata ho, tujhe phone lagata hon,
tu kehti hai hanske,
“ kyaa aaj bnaya hai, kyaa tumne kuch khaya hai ?”
Bhooka ho meri maa, teri yaad stati hai,
Haath jal gye hain, ye baat btaani hai,
Teri hansi sunke meri maa, mera pet bhar jaata hai,
Me jhooth btata hon, ki teen waqt mein khata hon,


Bahut kiya tha tang, tujhko mene bachpan me,
Vo class bahane se, me khelne jata tha,
Kapdon ka apne jo, me haal bnata tha,
Aaj to meri maa , me kapde saaf hi laya hon,
Subah office ko jata hon, aur sidhe ghar hi aata hon,
Tu hoti agar mere paas, aaj daant nhi paati,
Silu sudhar gya mera, ye baat kahi jaati,

Bahut akela hon, koi bhi nhi sunta,
Reh reh ke meri maa, teri yaad stati hai,
Me tujhse door jo aaya hon, majboor jo ayaa hon,
Tu hi to kehti thi na maa, tu sher to mera hai,
Is jungal me par maa, tera sher akela hai,
Bas ik teri khaatir maa, me har waqt muskata hon,
Tu daant lagaane maa, mere paas to ab aa jaa,
Me fir ruk jaunga, tujhse door naa aunga,
Bas ik baar tu lene maa, mere paas to ab aa jaa,
Bas ik baar tu lene maa, mere paas to a baa jaa,”

- Kim_Punjabi P.J. (momz silu)

Tuesday, March 1, 2011

Udte hue parindo ki shaan ye hoti hai .


Udte hue parindo ki shaan ye hoti hai .

Hawa tezz tufaan magar uddan bhi hoti .. 2



Udte hue parinde kabhi zameen nhi chute..

Zameeno ke ghosalo me awaaz to hoti hai..


Kai door gaye kai bhool gaye un apne pyaaron ko,

Un apno pyaaron ke bina aaj sham to dhalti hai.


Kahi aas lagi, kahi pyaas jagi, aaayenge vo vaapis,

Bhari dopahari me kabhi barsaat nhi hoti..


Vaadon ke dum se hi to jee rahe the yahan pe sab,

Par aaj ke vaadon me vo jajbaat nhi hoti..


Raah Dekhte hai sab bichade apnose milne ki..

Par bichade hue haaloton me mulaakat nhi hoti…



Udte hue parindo ki shaan ye hoti hai .

Hawa tezz tufaan magar uddan bhi hoti .. 2



- Kim_Punjabi "P.J".