Friday, October 10, 2008

Kaise Bhool jaun vo baatien purani...(part-1)










(a dedication 2 ma MBA matez...)



Kaise Bhool jaaun vo baatien purani,
Vo college ki galiyaan, vo doston ki ravaani,







(1) Chand saal pehle ki hai ye kahani,
Hum the josh mein, josh mein thi jawaani,
College mein aaye abhi din hue the chaar,
Classmates bhi puch lete the, tum kaise ho yaar,
Confrenence hall mein ik din, hui thi ladaai,
Sweta hum pe karne lagi thi chadai,

Pahadi hun kehke piche naa hata tha,
Vo thi punjaaban mujhe naa pata tha,
Ego pe jab aane lagi thi baat,

Mein kaha leja AC ko, ghar aapne sath,
MBA ki suruat hi kuch aise hui thi,

Kahan aake fas gaya man mein ik kaami thi,



(2) Future pe ungali uthne lagi thi,
Jindagi bhi meri ab ghutne lagi thi,

Jo ab tak kiyaa tha vo dhulne laga tha,
Hoasala bhi ab mitti mein milne laga tha,

Jisse apni mein, shaam samajh baitha,

Mujhe kyaa pata tha, vohi to subah hai,
Ab tak to hum chappan hue the,

Aur college ke kono mein milne lage the,

Abhi tak aakela mein dixit se mila tha,
Lawyer ka sapna, jiski aankhon mein pala tha,
Lawyer se liar banaya tha maine,

Usko apni class mein laya tha mein,

Itne mein hi ik naayi ladaki class mein aayi thi,
Dixit ke man ko vo bahut bhai thi,
Hamne socha ye to dixit ki holi,
Per ussne de di dixit ko bahut badi goli,

Do din mein hi vo, class chod ke bhaagi,
Aur vaapas college mein, BEd ki student ban ke aagi,



(3)Seniors ke baare mein kuch naa kahunga,
Mausam ki bhaanti badal jaate saare,
Fresherz ke liye hain, aaj bhi taraste,

Farewell lene ke baad , bhi hum saare,

Teacherz ko kaatne, ka bhi hum mein dum tha,

Vickey sir jaane kitno se kate the,
Saha sir ki baat, bhi to alag thi,

D idea is dat, keh ke dil mein baasi thi,

Chawala sir ka bhi, andaaz tha nayara,
Balancesheet to nikalta hai kunal hamara,

Hum se to aaj tak balancesheet naa nikali,
To kaise nikalta hai kunal tumhara..?



Hasane se aur kuch honna nahin tha,

bahut kho chukke zindaagi mein ab tak,
Aage aur kuch khona nahin tha,

Inhi khayaalon ke bich aantaragini ka aana,
Jisne diya mujhe ik dost mastana,
Ankurit hue dosti ke naye beej,
Rahul, paliwal ke sath IIT jana,




(4) Ab Tum hi batao

kaise bhul jaaun vo baatien purani,
Vo college ki galiyaan vo doston ki ravaani,

I C ke din bhi hua tha ek khel,
Ik ladaki se mera hua tha vahan mel,
14th feb ka din th vo mere yaar,
Sayad usko hogaya tha hum pe aitbaar,

Kehne lagi,
"Tumhari aawaz baadi cute hai saain,
Personality bhi tummne, hai kuch thik thaak paayi,
To abhi tak tummne koi ladaki kyun nahin patayi,"

esha sun ke mein kuch lajit hua tha,
Chaubeji ke saamne hi mera, bhopun baja tha,
Vo sadama bhayankar jo mujhko laga tha,
Aur us din ke baad, mein college ki, har ladaki se dara tha,



(5) Stat aur OR pe andhera pada tha,

Deepak sir ne aake, Ujala kara tha,
Roasani ko dekha to badne laga tha,

Aur ab ye sunil, padne laga tha,
Motivation ki ghutti , bhi thi humko pilayi
Gazal ma'am class mein, kuch yun thi aayi,

Sanaate mein pasari computerz ki classes,
Sagun sir se behter , aaj tak kissne padai,

HR ki classes, bhi kya to gajab thi,
Attitude se leke personality padi thi,
Mein to kehta tha ye bhaap nahin hai,
Dekha jaaye to sabka baap yehi hai,
HR tha man ko is kadar bhaya,

Aur aaj tak ka record hai, Class mein kabhi time pe nahin aaya,

Hamari class mein ik nanahi kalli thi,
Julfoan se jisske chalti thi goli,

Usske piche hi meri seat thi bhai ,
Jisske liye hamesha hoti thi ladaayi,

Kaun bhul sakta hai, vo ravi sir ka jaana,
Vo chairmen aur director ka, hum ko bhagana,
Uss saksh mein lakin, kuch to alag tha,
Vo jaate jaate, usska humko rulaana,


(6) Kaise bhul jaun, vo baatien purani,
Vo college ki gaaliyaan doston ki ravaani,

Corridor mein hamara, vo gaane gungunana,
Stairs pe baith, kudiyon se gaapein ladana,
Vo lectures mein doston ki proxy lagana,
Aur us se bhi bada unnhe baahar bulana,
Vo kho-kho mein, kudiyon ka haame challenge karna,
Aur har baar hamara un se jeet jaana,
Vo bachelor block ke chakar lagana,

Vo doston ka sania ko, sunil naam se chidaana,
Aur aachi ladaki dikhe, to usse auron ki bhabhi batana,

Ab tum hi batao kaise bhul jaun..


Vo interview ke time pe, holi manana,
Vo tiwari sir ka hamme, lab se bhagaana,
Aur common room mein hamara, vo dera jamana,

Vo highway block kar ke, biken chalana,
Aur 3 no. ka hamko, piche se thok jaana,

One 9t @ call centre ka, versional banana,
Vo end time pe hamare, murde ka mukar jaana,

Gurwinder singh 'guggi' ka, vo phone lagana,
Aur guggi ji ka pure, college mein chaa jana,






Ab tum hi batao
kaise bhul jaun vo baatien purani,
Vo college ki galliyan, vo Dostoan ki ravaani......



....... to be continued.......

- sunil sharma