".. Mein tutt gya tha us pal se,.. jis pal se, palke bhig gayi..;
.. mein ruth gya tha us pal se,.. jis pal vo tanhaa khoob rahi;
.. Mein aawara hon aawaara,.. mujhe pal ki palkon me naa le;
.. mein furrr kar ke uddd jaunga,... us pal ko khooob sataaunga;
.. tu aankh ponch le 'O' pagli,.. us pal ko naach nachaunga;
.. bs pal bhar ki to, hai ye baat,.. pal pal mein use sikhaunga;
.. ik pal to ab muska de tu,... Palkon se bojh hataade tu;
.. mein banjaraa hon banjaraa,.. bs pal bhar mera thahrava,
..mein aankh moond ke aayaa hon, pal bhar me aankh chupa lunga,
.. tu matt rona fir us pal mein,.. us pal mein me mil jaunga,
.. bs haath khol ke keh dena,..
..ye pal tha, pal jo, pal bhar me,.. pal, pal ab yaad to aayega,"
-Kim_Punjabi P.J.
2 comments:
pal pal tarse the us pal ke liye
pal aya bhi to kuch pal ke liye
socha tha use zindagi ka ek hansie pal bana lenge
par wo pal ruka bhi to bas ek pal ke liye.....
good one....
Post a Comment